Powered By Blogger

Search This Blog

Wednesday, May 26, 2010

28-jannat


jannat ko dhoonthe hain be-thahaasha, yahaan wahaan…jannat kahaan hai…
woh toh yaar- doston ke dil mein hai…
rab ki talaash mein phirthe hain
dar-ba-dar, maare maare…..
dost ke roop mein yeh rab nahi,
toh aur kaun hai…..
aaj phir usne humein
yakeen kara diya……
ke woh hai be-shak….
yaheen kaheen mere aas-paas..
phir uska naam rab ho ya dost..
kya fark padhtha hai……
bas woh hai…….
yakeenan yaheen kaheen hai…..
tere haath ko humne
apne sar pe jo mehsoos kar liya hai….
jannat humein
yaheen naseeb hoti dikhthi hai…
saath janmon ki meri talaash..
tujhpar aake
khatm hothi dikhthi hai…
tu chahe kaheen bhi rahe, ae dost…
mere pyaar ka saaya ,
tere sang sang chaltha hai…
tere kadmon tale
meri jannat hai..
ke tujhme rab dikhtha hai…..
mera aanchal chahe
tere ashkon se bheeg jaaye….
mere seene mein chahe
teri tadap, utharke sama jaaye…
tere labon pe
halka sa muskurahat dekh loon..
teri aankhon mein,
zindagi ki lau jaltha dekh loon..
bas yahi meri mohabbat ka sila hai..
meri ibaadat
yun khaali na jayegi..
iska humein yakeen hai…..
maut se pehle
humein sukoon haasil hogi..
teri aagosh ki chaanv se
meri rukhsathi hogi….

No comments:

Post a Comment