Powered By Blogger

Search This Blog

Wednesday, May 26, 2010

26-yun hi baithe baithe


 yun hi baithe baithe,
dil ke taar
chid jaathe hain
'kuch is tarah…
jazbaat bhi hain..
ehsaas bhi hain…
kalam bhi hai…
syaahi bhi…
alfaaz nazm ban kar..
behne lagthe hain
kuch is tarah…
insaan ke dil ke bhi kya kehne….
kuch pal khamoshi mein
bithaana hum chahein…
par nahi….
jazbaat bolne lagthe hain..
ehsaas jaag ut-the hain…
kalam se syaahi behne ko
machal ut-tha hai
kuch is tarah…
hum phir yahaan aake
bait jaathe hain…..
aur aise hi
baaton -baaton mein…
likh dete hain kuch
jo haal-e-dil bayaan
kar jaatha hai, humaara

kuch is tarah…
toh arz hai….scribbles-A…

01-zameen ke tumhaare mahalon par
kiye jao gumaan tum
vaastha nahi hai humaara
farsh ki deewaron se…
hum talluk rakhthe hain..
arsh ke nazaaron se….
02-khaak samajhthe hain use hum
jise tum zindagi ka maqsad banaye phirthe ho..
kis baat ka gumaan hai tumhein..
naseeb nahi jo kwaab mein bhi tumhaare…..
woh jannat dekhe hain humne
tassavvur mein….

03-udtha hai parinda, ya phir martha hai…
zameen pe tumhaare lekin tiktha nahi hai….

No comments:

Post a Comment