Powered By Blogger

Search This Blog

Wednesday, May 26, 2010

15-ae mere dost, mere humsafar



seene mein mere sulagthi hai, aag is kadar…….
iski tapish mein hum jhulse ja rahe hain yun….
dil ko jhakda ho, kisi anjaan haathon ne jaise…

kathra kathra lahoo ka maano, nichodhtha hua…..
aahon ko meri siskiyon mein tabdeel kartha hua…..
hum muskura dete hain,
kyonki rona hamein aata nahi hai…..
hans dete hain, khila-khilaakar….
ke hamaari aah ,hansi ki shor mein
kaheen gumraah ho jaye…….
tum kehte ho, yahi zindagi hai…….
yahi sahi…..
jee lenge……

karaah ut-the hain hum dard se yun…..
cheekh halak se chootkar nikalne ko machle…..
zabaan saath nahi dethi……
lafz labon tak aakar tham se jaate hain……
andaaz-e-dard bayaan bhi kar lete…….
magar, zabaan alfaaz ko tarastha hai, yun……
ghut-tha hai dum, hum saans ko tarasthe haine
tum kehte ho, yahi zindagi hai…..
yahi sahi…
jee lenge………

dariya mein kood pade hain
jaane kiski marzi hai yeh…
hum tairna na jaane…….gotha khaye ja rahe hain….
dur kaheen kisi ojhil hawa ke jhoke ki tarah …
tumhaari aawaaz ki goonj hum tak pohunch rahi hai…..
doobna nahi……………..kashthi tumhaari palti hai,
tairna toh tumhein har haal mein hai……
kehte ho , yahi zindagi hai
yahi sahi..
jee lenge……

ae mere dost, ae humsafar mere
mere humdard, mere humnasheen…..
judha hokar bhi tu mujhse…
yun juda hua hai , jaise..
mere hi rooh ka ek hissa hai tu…
,….tere kadmon ki aahat jab tak, mere dil ko dastak deti rahengi..
teri aawaaz jab tak mujse meri saanson ka hisaab maangthi rahegi….
jee lenge hum….
tu kehtha hai, yahi zindagi hai,
jee lenge……bas yun hi jee lenge….
aur chalte chalenge…….chalte chalenge…..
us anjaan manzil ki ore….bas chalte chalenge

No comments:

Post a Comment