Search This Blog
Saturday, May 29, 2010
46-Sehra
Sehra mein bhatak rahe the, hum toh
laga tanha hain hum..
phir halki si ek aah sunaayi di..
koi taqleef mein tha..
humse raha nahi gaya..
jaane kyon uski karraah ne
humein jhanjhod diya..
jaise woh koi ajnabi nahi
mera apna hi ek hissa tha..
hum tilmila uthe
laga, uski taqleef se
humaari jaan nikal jaayegi
uske kareeb hum gaye..
ajeeb si kashish thi usmein
kab kaise dil mein uttar gaya, pata hi na chala
chale the hum uski taqleef dur karne
woh khud humaare zakhmon ka marham ban gaya..
ab aadat si ho gayi hai, uske kareeb hone ki..
khayaalon mein aise woh ghar kar gaya..
phir humein tanhaayi ke us andhere mein
akele na chodna ae dost
ab darr lagne laga hai
sehra ke gumnaam raaston se..
bas itna karam kijiye..
humaara dum nikalne talak
yun hi humse mulaaqaat karthe rahiye....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Hi Deby
ReplyDeleteAapne to kavita likhte likhte ek Gazal likh dali....kya kahoo?
'bas itna karam kijiye..
humaara dum nikalne talk
yun hi humse mulakat karthe rahiye...'
Aisa hota hai kabhi kabhi....hum dusaron ka ilaz karte karte khud bimar pad jate hain....dil ki bimari hi aisi hai.
Jaise jaise aapke blogs padhte jaa rahe hain....aisa lagne laga hai ki aapko samjhane ke liye bahut samay chahiye.....hame manjoor hai.....koi jaldibazi nahi karenge hum aapko acchi terah pahchanne mei...
Bye and take care
Shatru