larazthe labon par tumhaare jab…
dheeme se ubhartha hai mera naam yun…
kyon lagtha hai mujhe
ke halak se tere, nikli
mehez ek aawaaz nahi hai yeh
tumhaari dhadkanon se choote
kisi dhun ka alhaan hai yeh….
jo tumhaari saanson ki laye ke saath
bahe jaathi hai….
fazaaon mein meethe taraane
goonj ut-the hain….
raftha -raftha , mere zehen mein
meethe ras ghul jaathe hain….
yeh kis baaharisthaan ke aab-o-hayaat se
tu ne kar diya hai madhosh humein yun….
dasht-o-sehra mein, gum hua chahthe the, jo hum
teri ulfat ne bana diya hai humein
noor-e-mohabbat……
ae dum-saaz mere, mere dilbar..
ise afreedgaar ka ejaaz nahi, toh kya kahein..
biyabaan mein , usne mehekthe phool
khila diye hain tere naam ke….
rooh se rooh ka
milan ho gaya hai yun jaise..
janm-janmaanthar ke liye
jud gaye hon hum aise..
saanson pe bas tumhaara hi tumhaara
hota hai naam…..
khuda ki bandagi karthe hain toh bhi
dua ban-kar tum adharon pe saj jaathe ho yun….
Search This Blog
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment