Powered By Blogger

Search This Blog

Sunday, August 30, 2009

04-deedaar

-deedar


likhna chahthe hain, bas kuch tere naam....
shikayat ??.... ya phir sandesha??......
humein khabar nahi.....

ubharthe doobthe saanson mein mere..
yun ghula hua hai tu.....
aankhein band kar sochein tujhe
toh rag -rag mein mere tu hai shaamil
jigar ko mere cheerke dekhe koi...
lahoo ki jageh tujhko paaye
khuli aankhein albatta, hain
tujhko dhundke pathra gayeen...
yun tune tarsaya hai humein
ek deedar ke vaaste, tere....
ya khuda......
teri bandagi mein humne hi
koi kasar chod di hai shayad..
ke aaj hum dasht-o-sehra ki
khaufnaak veeraniyon mein
tanhai ka chaadar odhe, yun ......
is kadar bhatak rahe hain....
khudki parchayi mein shaamil
uski parchayi ko talaashthe huey..
na jaane kis manzil ki ore..
kadam humaare badthe chale jaa rahe hain....
na ummeed , na aarzoo hai dil mein
phir bhi , chale ja rahe hain, chale ja rahe hain..
anjaan raahon par yun...chale jaa rahe hain....

1 comment:

  1. bahut sundar kavita likhi hai aapne...
    jahan chaah.....wahan raah
    manjil aapko mil hi jayegi

    aapki kavitaon mei hum doobate jaa rahe hain.....
    kash aapki aawaz sabhi tak pahuch paati....
    Believe me, publish a book containing your poems

    UAE tak aapki books pahuchane ki jimmewari meri...
    Aap bahut achcha likhati hai Deby...
    Bhagwaan aapki rachanaon ko aur bulandi de..
    Regards

    ReplyDelete